Human eyes are the windows to the soul — and Shayari is the language that brings their silence to life. This handpicked collection of best 2-line Shayari on eyes in English captures every emotion your heart has ever felt but couldn’t put into words. Each line is a commendation—a heartfelt praise of those eyes you cherish the most, whether it’s your girlfriend, boyfriend, wife, or someone who holds a special place in your heart.
Whether you’re searching for romantic Shayari for her eyes, cute Shayari for attractive eyes, Aankhen Shayari captions for Instagram, or soulful quotes about eyes, this collection offers the perfect words to express your love, admiration, and longing. Celebrate the beauty and depth of those eyes through these poetic commendations that speak straight to the heart.
Beautiful Shayari On Eyes

- Jo dil mein tha, woh aankhon ne keh diya,
Har lafz se gehra tha woh ek pal ka silsila. - Aankhon mein barish thi, lab khamosh the,
Woh keh bhi gaya, aur kuch kaha bhi nahi. - Uski aankhon mein kuch toh tha,
Jo dekh kar bhi samajh na paaye hum. - Aankhon ki jheel mein aks mera dikh gaya,
Jaise khud se mulaqat ho gayi ho. - Uski aankhon mein kuch shayari si thi,
Har nazar ek misra, har pal ek ghazal. - Nazar mili toh waqt tham gaya,
Aankhon ne dil se guftagu ki thi. - Aankhon mein neend thi na sapne the,
Sirf kuch adhoore jazbaat baaqi the. - Aankhon ka kya kasoor tha,
Woh toh sirf dil ki zubaan thi. - Jo dil mein hai, woh zubaan se kyun bolein,
Aankhon ne toh sab keh diya tha… bina kahe. - Woh lamha ruk gaya tha uss pal mein,
Jab usne sirf dekha… aur main bikhar gaya. - Na haan thi, na naa thi, bas ek nazar thi,
Aur us nazar mein meri saari duniya thi. - Kabhi aansuon mein doobi, kabhi khwab sa bun gayi,
Yeh aankhen thi ya koi khaamosh dua ban gayi.
2 Line Shayari on Eyes in English

- Main teri purkashish aankhon ko dekhta rehta hoon,
Tu bhi kabhi to dekh le meri mannatein maangti nazrein. - Kya aankhon mein chhupa hai fareb ya husn ka aks,
Har jagah kyun dikhai de uski tasveer ke naqsh. - Yeh teri chaand jaisi nazar-e wali aankhen,
Khoobsurat kisi shaam ki manind Aankhen. - Woh aankhen jo kabhi aankhon se milein,
Har dard ko chhupa ke hamesha muskurayein. - Teri aankhon ka jaadu kuch aisa chala,
Dil ke kone mein ek nayi duniya basa daala. - Aankhon mein teri chhupa hai saara jahaan,
Har nazar mein bas tera hi armaan. - Aankhon se baat hoti hai bin alfaaz ke,
Jo samajh na sake, woh hain anjaane saaz ke. - Log kehte hain ke tu ab bhi khafa hai mujh se,
Teri aankhon ne to kuch aur kaha hai mujh se. - Teri aankhon ka kuch qasoor nahin,
Haan mujhi ko kharab hona tha. - Tere jamal ki tasveer kheench doon lekin,
Zubaan mein aankh nahin aankh mein zubaan nahin. - Khuda bachaye teri mast mast aankhon se,
Farishta ho to behak jaaye aadmi kya hai. - Jo un masoom aankhon ne diye the,
Woh dhokey aaj tak main kha raha hoon. - Ek aansu bhi hukumat ke liye khatra hai,
Tum ne dekha nahin aankhon ka samundar hona. - Kabhi kabhi to chhalak padti hain yunhi Aankhen,
Udaas hone ka koi sabab nahin hota. - Ik haseen aankh ke ishare par,
Qafile raah bhool jaate hain.
Cute Eyes Shayari for Girlfriend

- Ankhen jo uthae to mohabbat ka guman ho,
Nazron ko jhukae to shikayat si lage hai. - Hasin teri aankhen hasin tere aansu,
Yahin doob jaane ko ji chahta hai. - Aankh se aankh jab nahin milti,
Dil se dil hum-kalam hota hai. - Is qadar roya hoon teri yaad mein,
Aine aankhon ke dhundle ho gaye. - Shabnam ke aansu phool par ye to wahi qissa hua,
Ankhen meri bheegi hui chehra tera utara hua. - Ladne ko dil jo chahe to aankhen ladaiye,
Ho jang bhi agar to mazedar jang ho. - Paimana kahe hai koi mai-khana kahe hai,
Duniya teri aankhon ko bhi kya kya na kahe hai. - Ankhen dikhlate ho joban to dikhao sahab,
Woh alag baandh ke rakha hai jo maal achha hai. - Us ki aankhon ko ghaur se dekho,
Mandiron mein charagh jalte hain.
Commendation (Tareef) Shayari on Eyes

- Aankh rahzan nahin to phir kya hai,
Loot leti hai qafila dil ka. - Log nazron ko bhi padh lete hain,
Apni aankhon ko jhukae rakhna. - Zara der baithe the tanhai mein,
Teri yaad aankhen dukhane lagi. - Jab tere nain muskurate hain,
Zist ke ranj bhool jaate hain. - Un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai,
Do zahr ke pyalon mein qaza khel rahi hai. - Ab tak meri yaadon se mitae nahin mitta,
Bheegi hui ik shaam ka manzar teri aankhen. - ‘Mir’ un nim-baz aankhon mein,
Saari masti sharab ki si hai. - Aankhen Khuda ne di hain to dekhenge husn-e-yar,
Kab tak naqab rukh se uthai na jaegi. - Raat ko sona na sona sab barabar ho gaya,
Tum na aaye khwab mein aankhon mein khwab aaya to kya. - Un jheel si gehri aankhon mein,
Ik lehar si har dam rahti hai. - Haan kabhi khwab-e-ishq dekha tha,
Ab tak aankhon se khoon tapakta hai. - Main dar raha hoon tumhari nashili aankhon se,
Ki lut len na kisi roz kuch pila ke mujhe.
Flirting Shayari on Eyes
- Tu aankhon se muskaraati hai,
Aur main bina wajah khush ho jaata hoon. - Teri aankhon se nazar milaana aasaan nahi,
Kyunki har baar dil wahan hi ruk jaata hai. - Teri aankhon ka nasha bhi kya cheez hai,
Dekhe bina bhi chadh jaata hai. - Aankhen teri jaadu kar gayi,
Ab toh dil bhi tere ishare pe chalne laga hai. - Itni khoobsurat aankhen le kar ghoomti ho,
FIR hona chahiye… dil churaane ka. - Teri aankhen toh khatarnaak hain,
Seedha dil par attack karti hain. - Dekha tujhe sirf ek nazar,
Ab har jagah teri aankhen hi nazar aati hain. - Teri aankhon mein likha hai kuch,
Thoda sa pyaar, baaki saara attitude. - Nazar mila ke muskara di tu,
Ab toh sapno mein bhi challange de rahi hai tu.
Attractive Eyes Shayari in English

- Teri aankhon mein kuch toh baat hai,
Nazar padti hai aur dil ruk jaata hai. - Aankhon ka rang toh sab dekhte hain,
Par jo jaadu hai unmein, woh sirf dil mehsoos karta hai. - Teri aankhen sirf khoobsurat nahi,
Woh kisi ki zindagi ka sukoon ban sakti hain. - Nazar teri thi ya koi nasha tha,
Hosh bhi tha aur phir bhi sab bhool gaya. - Aankhon se zyada bolti ho tum,
Har baar dekh ke lagta hai kuch keh gayi ho. - Har kisi ki aankhen pyaari nahi hoti,
Kuch aankhen seedha dil mein utar jaati hain. - Teri aankhon ne sirf dekha nahi,
Mujhe poora padh liya… bina kuch pooche. - Un aankhon ka kya hi kehna,
Jaise chandni bhi unse roshni maange. - Aankhon mein uske kuch toh tha,
Jo ek baar dekha, fir kabhi nazar hata na paaye. - Tere aankhon ka asar kuch aisa hai,
Dil keh bhi nahi sakta… aur chup bhi nahi reh sakta.
Sad Love Shayari on Eyes

- Main ne chaha tha ke ashkon ka tamasha dekhun,
Aur aankhon ka khazana tha ke khaali nikla. - Aa jaye na dil aap ka bhi aur kisi par,
Dekho meri jaan aankh laraana nahi achha. - Kabhi un mad bhari aankhon se piya tha ik jaam,
Aaj tak hosh nahi, hosh nahi, hosh nahi. - Na woh soorat dikhate hain na milte hain gale aa kar,
Na aankhen shaad hoti hain na dil masroor hota hai. - Aankhen saaqi ki jab se dekhi hain,
Hum se do ghoont pi nahi jaati. - Talab karein to ye aankhen bhi unko de doon main,
Magar ye log in aankhon ke khwaab maangte hain. - Aap ki makhmur aankhon ki qasam,
Meri mai khwari abhi tak raaz hai. - Udaas aankhon se aansu nahi nikalte hain,
Ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hain. - Kifiyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai,
Saagar ko mere haath se leejo ke chala main. - Hum mohabbat ka sabaq bhool gaye,
Teri aankhon ne parhaya kya hai. - Aankhen na jeene dengi teri bewafa mujhe,
Kyun khidkiyon se jhaank rahi hai qaza mujhe. - Shaam se un ke tasawwur ka nasha tha itna,
Neend aayi hai to aankhon ne bura maana hai. - Kisi ne choom ke aankhon ko yeh dua di thi,
Zameen teri Khuda motiyon se nam kar de. - Aankhon mein jo baat ho gayi hai,
Ek sharh-e-hayat ho gayi hai. - Dekhi hain bade ghoor se maine woh nigaahen,
Aankhon mein marawwat ka kahin naam nahi hai. - Dilon ka zikr hi kya hai, milein milein na milein,
Nazar milao nazar se, nazar ki baat karo. - Abhi woh aankh bhi soyi nahi hai,
Abhi woh khwaab bhi jaaga hua hai.
Blue (nashili) Eyes Shayari In English
- Lal libaas… nili aankhen… aur ek kaala sa dil,
Bar ke dhundh bhare raag par, tanhai se nachti thi woh.
Ek khwab tha andheron se ubharta hua,
Aur phir Hum chaly us gali ki taraf,
Jahan log milte nahi khud ko dhoondhne aate hain. - Safaid libaas mein, poori tarah haseen,
Uske laal baalon mein chamak, aur nili aankhon mein sajeen. - Ek jhalak meri taraf daali,
Main us nili gehraayi mein doob gaya.
Ek palak jhapki,
Aur meri duniya ulat gayi. - Main girta jaa raha hoon un neeli neeli aankhon mein,
Itni gehri… ke lage samundar ho,
aur lehron ka raqs ho unki nazron ke saath. - Teri aankhon ke is nashili jaam mein doob jaoon,
Taqdeer ka har dard bhula doon, sirf tera ho jaoon.
Romantic Shayari on Eyes
- Teri aankhon ka rang bhi ajeeb hai,
Kabhi dard sa naseeb mera.
Jab bhi dekha, khoya khoya raha,
Yeh nasha toh kisi sharab ka bhi nahi. - Teri aankhon mein uljha hua hai chand sa chehra,
Jis mein har raat roshan hoti hai meri subah.
Jab tu dekhe pyaar bhari nigaahon se,
Toh khud ko bhool jaata hoon main har dafa. - Teri aankhon mein chhupi hai jo roshni,
Us se roshan meri har kami.
Tu sirf dekhti jaa yunhi narmi se,
Main likhta jaaun poori zindagi. - Aankhon se teri jab baat hoti hai,
Har saans ek nayi mulaqat hoti hai.
Woh nazar jhukana, woh muskurana,
Mohabbat ki sabse haseen shuruaat hoti hai. - Teri aankhon ka jaam bhi kya khoob chala,
Na main bach saka, na mera dil. - Teri aankhon se roshan hue sary raaste,
Ab andheron mein bhi ujala sa lagta hai. - Tere aankhon ka har andaaz hai shayari,
Kabhi ghazal, kabhi geet, kabhi dua ban jaati hai. - Aankhon mein teri likhi hai meri dastaan,
Har nazar mein bas tu, har fasaana mein tu.
Killer Eyes English Shayari
- Teri aankhon ka jaam hi kaafi tha,
Zehar pilaane ki zarurat hi nahi thi. - Woh palkein uthti hain jaise teer chale,
In nigaahon ka asar seedha dil pe laga hain. - Na teer chala, na talwaar chali,
Bas ek nazar thi… aur jaan chali. - Woh aankhon ka jadoo tha ya koi saazish,
Dil bhi gaya, hosh bhi, bas reh gayi khwahish marny ka. - Teri aankhon se mili jo maut, toh shikwa kya,
Khubsurat aankhien aur qaatil bhi khubsurat. - Qatl karne ka andaaz bhi kya khoob tha,
Aankh uthi aur ilzaam bhi na liya. - Bichhi thein har taraf aankhen hi Aankhen,
Koi aansu gira tha, yaad hoga. - Kahin na un ki nazar se nazar kisi ki lare,
Woh is lihaaz se aankhen jhukaaye baithe hain. - Reh gaye laakhon kaleja thaam kar,
Aankh jis jaanib tumhaari uth gayi. - Us ki aankhen hain ke ek doobne wala insaan,
Doosre doobne wale ko pukaare jaise.
Shayari for Beautiful Girl On Her Eyes
- Uske nain hain jaise gehri saagar ki lehrain,
Jisme doob jaane ko har dil hai bekaraar. - Teri aankhon mein kuch sadaqat nahi hai,
Ab ki baar kuch aisa gumaan karte hain. - Itni milti hai meri nazmen teri aankhon se,
Log tujh ko mera mehboob samajhte honge. - Yeh masoom nain bari saadgi se khyaal,
Barbaad hamara jahaan karte hain. - Hum nainon ke deewane ishq ke sataaye log,
Aksar aarzu-e-nazar aasman karte hain. - Mujh se mat pooch teri aankhon ki saadgi ka andaaz,
Nazrein bhi teri thi aur parda bhi tujh se tha. - Woh saadgi ke rang mein majzoob ek shakhs,
Teri aankhon mein jo dekhe to mahshar dikhai de. - Jaan se ho gaye badan khaali,
Jis taraf tu ne aankh bhar dekha. - Idhar udhar meri aankhen tujhe pukarti hain,
Meri nigaah nahi hai, zubaan hai goya. - Dhoondhti hain jise meri Aankhen,
Woh tamasha nazar nahi aata. - Husn-e-bayaan mein lafz kam pad gaye, jab baat aayi,
Unki kajal lagi aankhon ki tareef karne ki. - Na chand itna roshan, na sitare itne haseen,
Jitni teri aankhon mein basa hai husn-e-nazneen.
Gulzar Shayari on Eyes
- Humne dekhi hai in aankhon ki mahakti khushboo,
Haath se chhooke ise rishton ka ilzaam na do. - Teri aankhon ke sajde mein rehna,
Palkon ke parde mein. - Teri aankhon ki namkeen mastiyaan,
Teri hasi ki bewajah ada. - Aankhon mein teri ajuba sa samundar hai,
Jinmein doob ke dekhun to mujhe kinara na mile. - Yaara seeli seeli,
Aankhon mein nami si hai. - Aankhon se tera kya ikraar karun,
Jab khwabon ne hi mujhse kiya ikraar. - Woh aankhen jo dekhti rahiin kisi aur ko,
Ab mujhse kyon milane ko tayyar hain. - Meri aankhon mein tera hi noor basta hai,
Tere bina har rang peeka lagta hai. - Yeh aankhen teri hasraton ki kitaab hain,
Jinmein likha hai mera har jawaab. - Teri aankhon ki chamak se dar lagta hai,
Jab yeh aankhen ishq ki baat keh jaati hain. - Yeh aankhen jo jhuk jaati hain tere saamne,
Inmein chhupi hain sachchaiyon ke paimaane.
Eyes Quotes
- “The eye sees only what the mind is prepared to comprehend.” — Henri Bergson
- “If the doors of perception were cleansed, everything would appear to man as it is, infinite.” — William Blake
- “The eye is the first circle; the horizon which it forms is the second; and throughout nature this primary figure is repeated without end.” — Ralph Waldo Emerson
- “Whatever our souls are made of, his and mine are the same.” — Emily Brontë
- “But above the grey land and the spasms of bleak dust… the eyes of Doctor T. J. Eckleburg kept their vigil.” — F. Scott Fitzgerald
- “The eyes of others our prisons; their thoughts our cages.” — Virginia Woolf
- “A man’s face is his autobiography. A woman’s face is her work of fiction.” — Oscar Wilde
- “Her eyes were two stars in whose light my soul found peace.” — Dante Alighieri
- “Her eyes had the glow of a warm summer night, and in them I saw the promise of something infinite.” — James Joyce
- “The eyes and the eyelids were a poem. A poem of blood.” — Sylvia Plath
- “Your eyes are large for the purpose of seeing all that can be seen.” — Khalil Gibran
- “There’s language in her eye, her cheek, her lip, Nay, her foot speaks.” — William Shakespeare
- “I do not ask the man what is the matter with his eyes, I see it.” — Walt Whitman
- “In your eyes the universe comes back to life.” — Pablo Neruda
- “Your eyes are too full of answers.” — Rainer Maria Rilke
- “In the curve of your eyes lies the whole world.” — Nizar Qabbani
- “Close both eyes to see with the other eye.” — Rumi
Aankhen Shayari Captions on Eyes for Instagram
- “Teri aankhon ka nasha bhi kuch khaas hai,
Bina piye hi har baar chadh jaata hai.” - “Nazrein milti hain toh dil ke raaz khulte hain,
Teri aankhen kisi kitaab se kam nahi.” - “Aankhon mein aansuon ka samandar chhupa hai,
Aur log kehte hain… main muskuraata hoon.” - “Tere jaane ke baad bhi, aankhon mein tu hi tu hai,
Shayad khwab keh kar tu meri yaadon mein reh gaya.” - “In aankhon mein khwab bhi hain aur khumaar bhi,
Ek pal dekh lo toh zindagi behtareen lagti hai.” - “Main kho gaya hoon teri aankhon ke andheron mein,
Jaise chaand kisi dard bhari raat ka hissa ho.” - “Uski aankhon mein dekha jab Khuda ka noor,
Mohabbat sajda ban gayi, ishq ibadat ho gaya.” - “Aankhen sirf dekhne ka zariya nahi,
Yeh to rooh tak jaane wali raah hoti hain.” - “Jhooth bolti thi woh aankhen,
Phir bhi hum wafaa samajh baithe.” - “Kya milega tujhko dil se khel kar,
Aankhon ne toh tujhe khuda samjha tha.” - “Nazar teri itni sharaarti hai,
Ek baar dekhe… toh baar baar yaad aaye!” - “Aankhon ka rishta dil se hota hai,
Aur dil kabhi jhooth nahi bolta.” - “Teri aankhon ne wo kaha jo zubaan na keh saki,
Bina alfaaz ke mohabbat bayaan ho gayi.” - “Kabhi chhalki hai khushi, kabhi roya hai gham,
In aankhon ne har ehsaas ko chhupa rakha hai.” - “Dekhun tujhe toh lagta hai, waqt tham gaya,
Aankhon se teri ek nayi zindagi mil gayi.” - “Yeh aankhen badi bechain rehti hain,
Shayad tujhe dekhne ka nasha abhi bhi baaqi hai.” - “Kuch baatein aankhen keh jaati hain,
Jo zubaan kehne se hichkichati hai.”